safar men dhuup hai to sa.eban bhi hoga
zamin hogi jahan asman bhi hoga
ḳhabar kahan thi ki ye ruuh ek masjid hai
siyah vajud men nur-e-azan bhi hoga
tire badan pe ye buḌha safed sar kaisa
jadid bachche bata kya javan bhi hoga
miri pasand ke afrad jis men rahte hain
zamin pe aisa koi ḳhandan bhi hoga
suna hai shahr-e-ḳhamoshan men aa gaya huun main
yahin kahin koi mera makan bhi hoga
vo mujh se bichhḌa main ro-dho ke ‘ashk’ bhuul gaya
pata nahin tha ki dil par nishan bhi hoga
Leave a Reply