natija sunne ka ab hausla to karna hai
vo mera hai ki nahin faisla to karna hai
main us ke pyaar men sansen bhi haar sakti huun
is intiha se use ashna to karna hai
phir is ke ba.ad koi darmiyan na aa paa.e
ḳhayal-e-yar ko yuun ham-nava to karna hai
saba ne di hai ḳhabar aaj us ke aane ki
dayar-e-dil ko ab arasta to karna hai
main us ko dekh sakun aankh band kar ke bhi
ai mere ishq tujhe mo.ajiza to karna hai
agarche in dinon rahti huun main ḳhafa us se
magar kabhi na kabhi samna to karna hai
bichhaḌ ke jiina agarche ‘sadaf’ nahin asan
kahin pe ḳhatm magar silsila to karna hai
Leave a Reply