dariya pe barishon ka asar kuchh nahin hua
mujh par bhi sazishon ka asar kuchh nahin hua
duniya ne koshishen to bahut kiin magar janab
un par sifarishon ka asar kuchh nahin hua
dil chiir kar bhi main ne dikhaya use magar
zalim pe ḳhvahishon ka asar kuchh nahin hua
vo mere har saval pe patthar bana raha
nadan pe pursishon ka asar kuchh nahin hua
‘santosh’ main ne DhunDha use har dayar men
par meri kavishon ka asar kuchh nahin hua
Leave a Reply