kya kahen alam-e-shabab ki baat
mo’atabar hoti kab hai ḳhvab ki baat
jhaḌ ga.i sheḳhi abr ki jis dam
chal paḌi dida-e-pur-ab ki baat
diije dam us ko hazrat-e-naseh
janta jo na ho janab ki baat
hai ye aur aah us ka kucha hai
kya kahun is dil-e-ḳharab ki baat
laakh parda kiya magar na chhupi
aah majnun-e-dil-kabab ki baat
rang hai zard munh pe ḳhushki hai
munh se nikle hai pech-o-tab ki baat
aaj kuchh be-qarar se ho tum
kahin chhupti hai iztirab ki baat
chal paḌi bazm-e-mai-kashan men jab
nigah-e-chashm-e-mast-ḳhvab ki baat
ho ga.e bas nashe haran sab ke
na rahi ḳhaak kuchh sharab ki baat
sach kaho kis se dil laga hai ‘aish’
nahin yaron se ye hijab ki baat
Leave a Reply