Jise Garm-iKHtilati Ki Laga De Dil Mein Tu Aatish

jise garm-iḳhtilātī kī lagā de dil meñ tū ātish

phir us ke sañg-e-turbat se nahīñ bujhtī kabhū ātish

lagā.ī tū ne yaañ tak mai-kade meñ tund-ḳhū ātish

ki pyālā hai pur-ātish aur surāhī tā-gulū ātish

ye ātish baaġh meñ ham ne lagī dekhī thī kal tujh bin

nasīm ātish chaman ātish gul ātish gul kī bū ātish

likheñ ham kis tarah kāġhaz par apnā soz-e-dil tujh ko

ki dil ātish zabāñ ātish dam ātish guftugū ātish

taf-e-dil ke bujhāne ko hamārī ḳhaak par saaqī

chhīḌaknā hai mai-gulgūñ kī az-dast-e-subū ātish

hamāre āshiyāñ ke ḳhār-o-ḳhas ke tār-o-sozan se

kar is chaak qabā se sho.ale ko apne rafū ātish

‘muhib’ ke dil meñ dāġh-e-ishq kā kyūñkar na gul phūTe

ki detā hai bajā.e aab āñkhoñ se lahū ātish

Leave a Comment