• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aur Sab Bhul Gae Harf-E-Sadaqat Likhna

Aur Sab Bhul Gae Harf-E-Sadaqat Likhna

aur sab bhuul ga.e harf-e-sadaqat likhna

rah gaya kaam hamara hi baghavat likhna

laakh kahte rahen zulmat ko na zulmat likhna

ham ne sikha nahin pyare ba-ijazat likhna

na sile ki na sata.ish ki tamanna ham ko

haq men logon ke hamari to hai aadat likhna

ham ne jo bhuul ke bhi shah ka qasida na likha

shayad aaya isi ḳhubi ki badaulat likhna

is se baḌh kar miri tahsin bhala kya hogi

paḌh ke na-ḳhush hain mira sahab-e-sarvat likhna

dahr ke gham se hua rabt to ham bhuul ga.e

sarv qamat ko javani ko qayamat likhna

kuchh bhi kahte hain kahin shah ke musahib ‘jalib’

rang rakhna yahi apna isi surat likhna

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere KHeme KHasta-Haal Mein Hain Mere Raste Dhund Ke Jal Mein Hain

poet

Pamal-E-KHiram-E-Naz Kije

poet

Ek Lahr uThi Gham Ki Dil Mein Ummid Ka Daman chhuT Gaya

Sab Pighal Jae Tamasha Wo Idhar Kab Hoga

poet

Ye Wo Aansu Hain Jin Se Zohra Aatishnak Ho Jawe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet