kati patang huun main aur be-sahara huun
mujhe kaha nahin us ne ki main tumhara huun
ye mujh men atish-e-be-soz jalti rahti hai
main raushni huun main jugnu huun istiara huun
tire husul ki gardish men kho gai huun main
mujhe bata ki main zarra huun ya sitara huun
main ek qatra-e-shabnam huun dida-var ke liye
jo kaj-nigah hain un ke liye sharara huun
main ek umr se bunti huun khvab chahat ke
hisar-e-dida-e-nam-nak men khasara huun
Leave a Reply