mujh men abad sarabon ka ilaqa karne
phir chali aa.i tiri yaad ujala karne
din mira phir bhi kisi taur guzar ja.ega
raat aa.egi udasi ko kushada karne
aur be-vaqt chala aata hai savan mujh men
ek guzre hue mausam ka taqaza karne
main ne jalte hue sahra men tira naam liya
sa.eban ḳhud hi chala aaya hai saaya karne
kaisa laava hai tah-e-ab yahan ankhon men
kaun aaya hai samundar ko jazira karne
Leave a Reply