Rabt Paida Ho Gaya Tha

rabt paidā ho gayā thā

dasht dariyā ho gayā thā

vaqt ke is aa.ine meñ

aks būḌhā ho gayā thā

umr aadhī rah ga.ī thī

kaam dugnā ho gayā thā

maiñ haqīqī zindagī meñ

ḳhvāb jaisā ho gayā thā

log mil kar jā rahe the

vaqt puurā ho gayā thā

dard baaqī thā badan meñ

zaḳhm achchhā ho gayā thā

baat puurī ho chukī thī

zehn chūrā ho gayā thā

ḳhāmushī baḌhne lagī thī

shor itnā ho gayā thā

kuchh nahīñ thā maiñ ‘sahar’ bas

dil-girafta ho gayā thā

Leave a Comment