vo vaqi.at kise yaad ik zamana hua
kisi ne kya na kiya aur ham pe kya na hua
mira bura to mire hasb-e-mudda.a na hua
bhala hua bhi to koi mira bura na hua
dikhate ham dil-e-pur-dagh ki bahar use
ye manzar aur zara sa bhi ḳhushnuma na hua
kisi ka dard-e-mohabbat agar tha kam-maya
to Thahar Thahar ke phir kyuun zara zara na hua
tira irada mubarak tujhe magar ai dil
ye naqsh-e-pa agar us ka hi naqsh-e-pa na hua
sitam kare bhi to samjhun ki ye sitam hi nahin
ḳhafa hua bhi to janon ki tu ḳhafa na hua
kya jab aane ka iqrar aap bhuul ga.e
ye ek va.ada to shayad kabhi vafa na hua
zamana aap ko ashiq-navaz kahta hai
ye sach bhi ho to kabhi ham ko kuchh ata na hua
vo kya kahenge jo iqbal hi na ho mujh ko
vo kya karenge jo main qabil-e-ḳhata na hua
agarche shaiḳh men lakhon karamaten aa.iin
magar ye bande ka banda raha ḳhuda na hua
raza-e-dost ke hote hain aur kya ma.ani
ki mujh se un ka kabhi aaj tak gila na hua
vo ḳhud mile to bata kya javab duun ai dil
ye uzr lang hai koi bhi rahnuma na hua
safi’ nasib bure hon to kya kare koi
nahin to qais bhi kuchh aadmi bura na hua
Leave a Reply