be-talab ek qadam ghar se na bahar ja.un
varna main phand ke hi saat samundar ja.un
dastanen hain makanon ki zabanon pe raqam
paḌh sakun main to makanon se bayan kar ja.un
main munazzim se bhala kaise karun samjhauta
Dubne vaale sitaron se main kyuun Dar ja.un
ruuh kya aa.e nazar jism ki divaron men
in ko Dha.un to us a.ine ke andar ja.un
aur do chaar masa.ib ki kasar baaqi hai
ye uTha la.un to main duniya ke safar par ja.un
zahr hai mere rag-o-pai men mohabbat shayad
apne hi Dank se bichchhu ki tarah mar ja.un
thak ke patthar ki tarah baiTha huun raste men ‘zafar’
jaane kab uTh sakun kya janiye kab ghar ja.un
Leave a Reply