gham se ghabra ke kabhi nala-o-fariyad na kar
izzat-e-nafs kisi haal men barbad na kar
dil ye kahta hai ki de iint ka patthar se javab
jo tujhe bhule use tu bhi kabhi yaad na kar
tod de band-e-qafas kuchh bhi agar himmat hai
ik rihai ke liye minnat-e-sayyad na kar
apne halat ko behtar jo banana hai tujhe
ahd-e-rafta ko kabhi bhuul ke bhi yaad na kar
haal ko dekh samajh vaqt ki qimat ai dost
fikr-e-farda men kabhi vaqt ko barbad na kar
zindagi banti hai kirdar se kirdar bana
mukhtasar ziist ke lamhat ko barbad na kar
kabhi badla hai na badlega mohabbat ka mizaj
ahl-e-dil hai to kisi dil ko bhi nashad na kar
muddai ilm ka hai jehl-e-murakkab la-raib
qaul faisal hai faramosh ye irshad na kar
Leave a Reply