shayad koi kami mere andar kahin pe hai
main asman pe huun mira saaya zamin pe hai
afsana-e-hayat ka har ek saneha
tahrir harf harf hamari jabin pe hai
dariya men jis tarah se ho maahi usi tarah
main huun jahan pe mera ḳhuda bhi vahin pe hai
jannat ḳhuda hi jaane kahan hai kahan nahin
mujh ko yaqin hai ki jahannam yahin pe hai
yuun ji rahe hain saḳht aziyyat ke bavajud
dar-o-madar ziist ka jaise hamin pe hai
is tarah faslon pe fatah pa chuke hain ham
ik paanv asman pe hai ik zamin pe hai
‘shadab’ husn-o-ishq masavi hain aj-kal
ilzam mujh pe hai vahi us naznin pe hai
Leave a Reply