Qahr-E-Mujassam Husn-E-Mukarram

qahr-e-mujassam husn-e-mukarram

aap hī sho.ala aap hī shabnam

aap na aa.e ye bhī na sochā

bazm meñ kitne dil hue pur-ġham

maan bhī lete un kī bāteñ

lekin kuchh āvāz thī maddham

aap ye āḳhir kyoñ haiñ pashemāñ

aap se kuchh shākī to nahīñ ham

yuuñ na jatāo apnī baḌā.ī

aap kī hastī ḳhud hai musallam

gūñjtī haiñ ab tak kānoñ meñ

bāteñ un kī thiiñ yā sargam

sun na sake ‘ashraf’ vo hamārī

baat thī sachchī ho ga.e barham

Leave a Comment