mohabbat ka asar jaata kahan hai
hamara dard-e-sar jaata kahan hai
dil-e-betab siine se nikal kar
chala hai tu kidhar jaata kahan hai
adam kahte hain us kuche ko ai dil
idhar aa be-khabar jaata kahan hai
kahun kis munh se main tere dahan hai
jo hota to kidhar jaata kahan hai
tire jaate hi mar jaunga zalim
mujhe tu chhod kar jaata kahan hai
hamare haath se daman bacha kar
are bedad-gar jaata kahan hai
tiri chori hi sab meri nazar men
chura kar tu nazar jaata kahan hai
agarche pa-shikasta ham hain ai ‘dagh’
magar qasd-e-safar jaata kahan hai
Leave a Reply