zaḳhm par rakhta hai marham asman nashtar samet
amn ka paigham deti hai hava ḳhanjar samet
jab mire hamdard ne be-dast-o-pa dekha mujhe
le gaya mere samundar se sadaf gauhar samet
char-janib aag bhaḌka.i ga.i is taur se
ahl-e-binash ki nazar bhi jal ga.i manzar samet
asman ki chhat zamin ka farsh baḳhshta ja.ega
ghar ujaḌe ja.enge buniyad ke patthar samet
tez raftari ne duniya ki uḌaya ye ghubar
har saman dhundla gaya us a.ina-paikar samet
jal rahe hain jo lahu se un diyon ke samne
haar baiThe hain parastran-e-sarsar sarsar samet
dekhna ye ansuon ki chand bundon ka kamal
lahlha uThi hai pathrili zamin banjar samet
main ne tera naam le kar jab rakha takiye pe sar
saara kamra ḳhushbuon se bhar gaya bistar samet
murgh-e-kam-himmat faza-e-be-karan hote hue
ashiyane tak raha mahdud bal-o-par samet
kal zamin mere muqabil vazn men halki paḌi
mujh ko jab rakkha gaya palre men chashm-e-tar samet
is tahi dasti men ‘mahir’ aabru ka kya saval
ham ganva baiThe hain dastar-e-fazilat sar samet
Leave a Reply