dilon men ḳhaak si uḌti hai kya na jaane kya
talash karti hai pal pal hava na jaane kya
zara sa kaan laga ke kabhi suno ga.e raat
kahin se aati hai gum-sum sada na jaane kya
musafiron ke dilon men ajab ḳhazane the
ziyan safar tha magar rasta na jaane kya
vo kah raha tha na jhankunga aaj sub.h is men
mujhe dikha.e yahi a.ina na jaane kya
dua ke phuul ki ḳhushbu sa phailne vaala
vo ḳhud men DhunDhta tha gum-shuda na jaane kya
nahin hai kis ki nazar men ufuq koi na koi
is aankh men thi koi shai juda na jaane kya
tamam shahr men gaḌhe dhuven ka manzar hai
likha hua tha yahan ja-ba-ja na jaane kya
vahi bichhaḌte dilon ki faza-e-ashk-alud
vahi safar ki purana naya na jaane kya
nikal gaya hai ḳhalaon ki samt ai ‘bani’
navah-e-jan se guzarta hua na jaane kya
Leave a Reply