aaina samne rakha hoga
us ka chehra magar jhuka hoga
kaise paala hai bete ko main ne
bhuul jaega jab bada hoga
shairi jaam aur tanhai
hijr ki shab men aur kya hoga
ek arse se sunte aae hain
jald hi desh ka bhala hoga
tha na maalum saath rah kar bhi
darmiyan itna fasla hoga
ye mohabbat ka khel hai janan
is ki har chaal men maza hoga
dekh halat muflison ke yahan
main nahin manta khuda hoga
hongi jis ghar men betiyan yaaro
us ka mahaul khushnuma hoga
sub.h ke tiin baj gae ‘amabar’
uth ja ‘rahul’ bhi uth gaya hoga
Leave a Reply