apne jazbon ki thakan yuun bhi utari ham ne
zindagi dasht-navardi men guzari ham ne
kam na ki shahr pe suraj ne tamazat apni
sardiyan ḳhud hi fazaon pe kiin taari ham ne
zaḳhm jis haath pe tha kaaT diya hai us ko
bas dikha.i hai yahi kar-guzari ham ne
jin ki ta.id pe chamke the ana ke jauhar
phir sar-e-dar na dekhe vo havari ham ne
tujh ko ma.alum nahin tiir chalane vaale
said hote hue dekhe hain shikari ham ne
Leave a Reply