mujhe hazar martaba pukar kar chala gaya
vo saari umr mera intizar kar chala gaya
ujaḌ raha tha Thiik se ujaḌne bhi nahin diya
vo jaane vaala kyon mujhe sanvar kar chala gaya
ye kya ḳhayal aa gaya safar se qabl zehn men
jo har taraf ghubar hi ghubar kar chala gaya
mira phir ansuon pe iḳhtiyar hi nahin raha
miri nigah ko vo abshar kar chala gaya
mujhe nahin qubul thi shikast mere yaar ki
jahan ko ye laga kya main haar kar chala gaya
vo jis ke ashk khinch kar safar se laa.e the hamen
hamare ansuon ko darkinar kar chala gaya
Leave a Reply