• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hai Chaman Mein Rahm Gulchin Ko Na Kuchh Sayyaad Ko

Hai Chaman Mein Rahm Gulchin Ko Na Kuchh Sayyaad Ko

poet

hai chaman men rahm gulchin ko na kuchh sayyad ko

ab khuda hi shaad rakkhe bulbul-e-nashad ko

sujhti thi koh-o-sahra men yahi har dam mujhe

kijiye gham qais ka aur roiye farhad ko

hichkiyan aati hain par lete nahin vo mera naam

dekhna un ki faramoshi ko meri yaad ko

yaad men un ke havas-e-khamsa de dete hain ham

aah ko naale ko ghul ko shor ko fariyad ko

jaegi gulshan talak us gul ki aamad ki khabar

aaegi bulbul mire ghar men mubarakbad ko

nazaa ke dam bhi unhen hichki na aaegi kabhi

yunhi gar bhule rahenge vo ‘sakhi’ ki yaad ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

gulzar

Hirasat

Sufi

Himala

abdurrahman-momin

Chand dhire Se Muskuraya Hai

Wo shaKHs Phir Kahani Ka Unwan Ban Gaya

imam-bakhsh-nasikh

Wo Ru-E-Kitabi To Hai Quran Hamara

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet