jo mil gaya hai yahan jalva-e-ḳhayali hai
ye baat ham ne mohabbat men aazma li hai
ajiib saltanat-e-ishq men nizam mila
jo badshah nazar aata hai ik savali hai
tumhari yaad baḌhi aur dil hua raushan
ye ek sham.a andhere ne ḳhud jala li hai
hunar ki aag jala.i hai ḳhaak se us ne
kamal us ka hi hai meri be-kamali hai
sada ye sochta huun us ka faiz kya likkhun
ki mera dost bhi aur aadmi misali hai
kabhi diya bhi hai lamha kisi ko chahat ka
to zindagi ne ye fursat kabhi chura li hai
kiraya-dari vasila hai apne jiine ka
tum aana chaho to dil ka makan ḳhali hai
kabhi to jhanko zara is ki aag ke pichhe
ye aadmi ki jo zahir men la-ubali hai
Leave a Reply