• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Saliqa Hai Mujhe Taron Se Lau Lagane Ka

Saliqa Hai Mujhe Taron Se Lau Lagane Ka

saliqa hai mujhe taron se lau lagane ka

ki main charagh nahin daagh ke gharane ka

vo dekh barf ke phulon men jagti hai sahar

yahi hai kya tira andaz muskurane ka

ḳhulus shart hai pi lunga zahr bhi ai dost

to pahle siikh mujhe Dhang azmane ka

liya jo shaḳh-e-gul-e-tar ko jhuk ke banhon men

vo ik bahana tha tujh ko gale lagane ka

chali jo yaad tumhari alakh jagati hui

bhaTak gaya koi jogi kisi Thikane ka

uḌuun to chuum luun tujh ko ki ek jugnu huun

tu ḳhvab hai kisi parbat ke shamiyane ka

miri lagan ka safina na Duub jaa.e kahin

tira vajud bhanvar hai kisi bahane ka

tire kalam tire jaam tere naam se ‘prem’

chamak raha hai sitara tire zamane ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Muslamanan Mura dil Shad Sazid

akhilesh-tiwari

Gutthi Na Sulajh Pai Go Suljhai Bahut Hai

Apni Aankhen Hain Aur Tumhaare KHwab

Tishna-Labon Ki Nazr Ko Saughat Chahiye

Tauba Ki Nazishon Pe Sitam Dha Ke Pi Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet