apni dhun men rahta huun
main bhi tere jaisa huun
o pichhli rut ke sathi
ab ke baras main tanha huun
teri gali men saara din
dukh ke kankar chunta huun
mujh se aankh milae kaun
main tera aina huun
mera diya jalae kaun
main tira khali kamra huun
tere siva mujhe pahne kaun
main tire tan ka kapda huun
tu jivan ki bhari gali
main jangal ka rasta huun
aati rut mujhe roegi
jaati rut ka jhonka huun
apni lahr hai apna rog
dariya huun aur pyasa huun
Leave a Reply