ḳhaksaron se qarin rahta hai
asman ḳhak-nashin rahta hai
hai ajab ḳhu-e-faqirana bhi
ik jahan zer-e-nagin rahta hai
vaj.h duniya bhi hai fitrat bhi hai
koi ḳhush koi hazin rahta hai
bagh-e-gul-gasht-e-saba dil ko bana
naḳhl-e-sarsabz yahin rahta hai
ghar ka saman nahin virane men
shahr men ḳhauf-e-makin rahta hai
ankhon ankhon men to kaT jaati hai raat
dard farḳhanda-jabin rahta hai
kaj-ada aisa nahin hai vo bhi
bojh ik dil pe kahin rahta hai
go koi vaj.h-e-ta.alluq bhi nahin
main kahin dhyan kahin rahta hai
Leave a Reply