• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aah Bhi Ek Koshish-E-Nakaam Hai Mere Liye

Aah Bhi Ek Koshish-E-Nakaam Hai Mere Liye

aah bhi ik koshish-e-nakam hai mere liye

aisi sahba-e-kuhan aur ḳhaam hai mere liye

zindagi ik shorish-e-alam hai mere liye

jo nafas hai gardish-e-ayyam hai mere liye

sha.eri hi vaj.h-e-nang-o-nam hai mere liye

aur jo kuchh hai vo sab ilzam hai mere liye

meri arz-e-shauq be-ma.ani hai un ke vaste

un ki ḳhamoshi bhi ik paigham hai mere liye

ye miri ashufta-e-hali ye miri avargi

jaise saari gardish-e-ayyam hai mere liye

kis qadar ma.asum kaisi garm kitni dil-navaz

vo nigah-e-naz jo bad-nam hai mere liye

aaj kya hone ko hai ai gardish-e-haft-asman

har sitara larza-bar-andam hai mere liye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Pareshan Hai Na Jaane Kis Liye

To Sharafaton Ka Maqam Hai to Sadaqaton Ka Dawam Hai

quli-qutub-shah

Piya Ka Ishaq Hai Mera Yar-E-Jaani

Basti Mein Hai Wo sannaTa Jangal Mat Lage

Ye Jo Kuchh Aaj Hai Kal to Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet