haqiqat-e-gham-e-ulfat chhupa raha huun main
shikasta-dil huun magar muskura raha huun main
kamal-e-hausla-e-dil dikha raha huun main
kisi se rasm-e-mohabbat badha raha huun main
badal diya hai mohabbat ne un ka tarz-e-amal
ab un men shan-e-takalluf si pa raha huun main
machal machal ke main kahta huun baithiye to sahi
sambhal sambhal ke vo kahte hain ja raha huun main
suni hui si bas ik dhun zarur hai lekin
ye khud khabar nahin kya gunguna raha huun main
Leave a Reply