saaqi ye tere bas men hai de jaam ya na de
jhuTa magar kisi ko kabhi aasra na de
soz-e-firaq kashmakash-e-mudda.a na de
dushman ko bhi kisi ki mohabbat ḳhuda na de
shayad ki so gaya hai junun phir jaga na de
zanjir-e-pa ko ḳhvab-e-riha.i hila na de
karna paḌe zamir ke bar-aks bandagi
majburiyon kisi ko zarurat bana na de
kya kya dikha raha hai mohabbat ke sabz baagh
miTTi men dil ko josh-e-javani mila na de
gum ho ke main ne siikh liya ḳhuub ye usuul
jis ko ḳhabar mile vo tumhara pata na de
ai ‘jurm’ dard-o-ishq ka milna nahin hai khel
jab tak kisi bashar ko ye ne.amat ḳhuda na de
Leave a Reply