• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jhunjhlae Hain Lajae Hain Phir Muskurae Hain

Jhunjhlae Hain Lajae Hain Phir Muskurae Hain

khumar-barabankavi

jhunjhlae hain lajae hain phir muskurae hain

kis ehtimam se unhen ham yaad aae hain

dair-o-haram ke habs-kadon ke satae hain

ham aaj mai-kade ki hava khane aae hain

ab ja ke aah karne ke adab aae hain

duniya samajh rahi hai ki ham muskurae hain

guzre hain mai-kade se jo tauba ke baad ham

kuchh duur adatan bhi qadam ladkhadae hain

ai josh-e-girya dekh na karna khajil mujhe

ankhen miri zarur hain aansu parae hain

ai maut ai bahisht-e-sukun aa khush-amdid

ham zindagi men pahle pahal muskurae hain

jitni bhi mai-kade men hai saaqi pila de aaj

ham tishna-kam zohd ke sahra se aae hain

insan jite-ji karen tauba khataon se

majburiyon ne kitne farishte banae hain

samjhate qabl-e-ishq to mumkin tha banti baat

naseh gharib ab hamen samjhane aae hain

kaabe men khairiyat to hai sab hazrat-e-‘khumar’

ye dair hai janab yahan kaise aae hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

afroz-alam

Thokar Se Faqiron Ki duniya Ka Bikhar Jaana

Har Aaine Ne Kaha ruKHsat-E-Ghubar Ke Baad

abroo-shah-mubarak

Aaya Hai Subh Nind Sun Uth Rasmasa Hua

poet

Dil Mein Charagh-E-Ishq Na Jo Zau-Fishan Rahe

Kya Dekhen Hum Suraj Chand Sitaron Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet