Be-Wafa Go Mile Na Tu Mujhko

be-vafa go mile na tu mujh ko

bas hai teri ye aarzu mujh ko

gardish-e-charkh se nahin parda

sar pe chahiye vo khak-e-ku mujh ko

zahida hai miri namaz niyaz

khun-e-dil rona hai vazu mujh ko

naseha ja ki zikr-e-ishq siva

khush nahin aati guftugu mujh ko

ban raha huun main ishq ka mazlum

na sata ai raqib tu mujh ko

tujh se chahun huun naz-bardari

ho gai kuchh tiri si khu mujh ko

sohbat-e-ghair se hua makruh

baithna tere ru-ba-ru mujh ko

tujh se mahrum yuun rahun sad-haif

kya kya dil men thiin aarzu mujh ko

yaar harjai ne kiya ‘hasrat’

dar-ba-dar aur ku-ba-ku mujh ko

Leave a Comment