main ye nahin kahta ki mira sar na milega
lekin miri ankhon men tujhe dar na milega
sar par to bithane ko hai tayyar zamana
lekin tire rahne ko yahan ghar na milega
jaati hai chali jaae ye mai-khane ki raunaq
kam-zarfon ke hathon men to saghar na milega
duniya ki talab hai to qanaat hi na karna
qatre hi se khush ho to samundar na milega
Leave a Reply