ye zinda rahne ka mausam guzar na jaa.e kahin
ab aa bhi jaao dil-e-zar mar na jaa.e kahin
mira sitara to ab tak nazar nahin aaya
main Dar raha huun ki ye shab guzar na jaa.e kahin
nadi kinare khaḌa peḌ soch men gum hai
koi bhanvar use barbad kar na jaa.e kahin
parinde apne Thikanon ko ḳhair se pahunche
dua yahi hai ki koi Thahar na jaa.e kahin
gila bhi ḳhud se hai aur silsila bhi ḳhud se hai
hamari baat idhar se udhar na jaa.e kahin
Leave a Reply