bara.e-nam sahi koi mehrban to hai
hamare sar pe bhi hone ko asman to hai
tiri faraḳh-dili ko dua.en deta huun
mire labon pe tire lams ka nishan to hai
ye aur baat ki vo ab yahan nahin rahta
magar ye us ka basaya hua makan to hai
siron pe saya-fagan abr-e-arzu na sahi
hamare paas sarabon ka sa.eban to hai
alava us ke na kuchh aur parda rakh mujh se
fasil-e-jism mire tere darmiyan to hai
bichhaḌ ke zinda nahin rah sakenge ham donon
mujhe ye vahm to hai un ko ye guman to hai
bhali-buri sahi maujon men apni naav to hai
kaTa-phaTa sahi kahne ko badban to hai
gul-e-murad nahin sang-ha-e-tifl sahi
gharib-e-shahr ka aḳhir kisi ko dhyan to hai
Leave a Reply