• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dam-Ba-KHud Meri Ana Teri Ada Bhi Dam-Ba-KHud

Dam-Ba-KHud Meri Ana Teri Ada Bhi Dam-Ba-KHud

dam-ba-ḳhud meri ana teri ada bhi dam-ba-ḳhud

tere pahlu men raha main aur raha bhi dam-ba-ḳhud

dekhiye pahle lahu Tapke ki phailen kirchiyan

dam-ba-ḳhud teri nazar bhi aa.ina bhi dam-ba-ḳhud

itna sannaTa ki jaise avvalin sham-e-firaq

dam-ba-ḳhud hai asman bhi aur hava bhi dam-ba-ḳhud

yaad hai tujh ko vo pahle lams ki hiddat ki jab

rah ga.i thi daf.atan teri haya bhi dam-ba-ḳhud

ek se aalam men donon muḳhtalif asbab se

dam-ba-ḳhud tera karam meri dua bhi dam-ba-ḳhud

aisa lagta hai ki donon se nahin nisbat mujhe

dam-ba-ḳhud umr-e-ravan sail-e-fana bhi dam-ba-ḳhud

ḳhauf-e-tajdid-e-ta.aluq darmiyan haa.il raha

dam-ba-ḳhud tera sitam mera gala bhi dam-ba-ḳhud

yuun guman hota hai donon ki tavaqqo.a ek thi

dam-ba-ḳhud teri vafa meri saza bhi dam-ba-ḳhud

jab khule meri haqiqat tum vo manzar dekhna

dam-ba-ḳhud na-ashna bhi ashna bhi dam-ba-ḳhud

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Koi Shafqat Bhari Sarkar Nahin Hai Ghar Mein

Ek Meri Jaan Mein Aur Ek Lahar Sahraon Mein Thi

Wo Zamana-Saz Bhi Tha Aur Wafa-Pesha Bhi Tha

aadil-raza-mansoori

libas

Wahi Na Milne Ka Gham Aur Wahi Gila Hoga

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet