kiya jab sabr furqat men to phir zikr-e-butan kaisa
ba-ah-o-zariyan kaisi hain ye shor-e-fughan kaisa
bagule ki tarah se khaak udana hai muqaddar men
vatan kya khanaman-barbad ka tere makan kaisa
hua fikr-o-tasavvur se vo tasvir-e-sanam jab to
bigad jaana hai ab mujh se dil-e-na-mehraban kaisa
qafas men band huun main go qafas ho shakh-e-tauba par
ye mere vaste qaid-e-mihan hai bostan kaisa
ye sabit ho chuka tum par nahin darte ye marne se
liya karte ho jan-bazon ka phir tum imtihan kaisa
lahad men chain milta hai kahan zahmat-nasibon ko
jhapakti hi nahin ankhen miri khvab-e-giran kaisa
qadam rakhna zamin par zoaf se mujh ko hua mushkil
kya dard jigar ne aah mujh ko na-tavan kaisa
andhere ho gae hain donon aalam meri nazron men
zamin kaisi hai mere vaste aur asman kaisa
‘jamila’ alimon se saaf kah de tujh ko dar kis ka
makan-e-dil maqam-e-kibriya hai la-makan kaisa
Leave a Reply