is tarah se azaab tak aa.e
niind aa.i na ḳhvab tak aa.e
faḳhtaon ka jhunD uḌte hue
chahta huun ke aab tak aa.e
jo sarapa saval lagta ho
us ko kaise javab tak aa.e
ankhon ankhon men us ko sajda kiya
goya kar-e-savab tak aa.e
is liye ḳhamushi se baiTha huun
koi rasta janab tak aa.e
raste men hazar kanTe hain
kaise ḳhushbu gulab tak aa.e
Leave a Reply