munh dhanp ke main jo ro raha huun
ik parda-nashin ka mubtala huun
kya hijr men na-tavan hua huun
tinka na uthe vo kahruba huun
teri si na bu kisi men paai
saare phulon ko sunghta huun
bulbul hai chaman men ek hamdard
main bhi kisi gul ka mubtala huun
aina hai jism-e-saf us ka
kyunkar na kahe main khud-numa huun
kahta hai ye mushtari falak par
yusuf tire haath men bika huun
rukhsar vo rakh ke so gaya tha
gul takyon ko roz sunghta huun
khat likh ke jo hai talash-e-qasid
manind qalam main phir raha huun
mar jaan kahi dekh dekh vo haath
mehndi ki tarah main pis gaya huun
itni tu jafaen kar na ai but
akhir main banda-e-khuda huun
ab to mujhe ghaib-dan kahen sab
main teri kamar ko dekhta huun
‘goya’ huun vaqt ka suleman
pariyon par hukm kar raha huun
Leave a Reply