• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Karwan-E-Hasti Guzra Rawa-Rawi Mein

Kya Karwan-E-Hasti Guzra Rawa-Rawi Mein

kya karvan-e-hasti guzra rava-ravi men

farda ko main ne dekha gard-o-ghubar-e-di men

the mahv lala-o-gul kis kaif-e-be-ḳhudi men

zaḳhm-e-jigar ke Tanke TuuTe hansi hansi men

yaran-e-bazm-e-ishrat DhunDun kahan main tum ko

taron ki chhanv men ya pichhle ki chandni men

har uqda men jahan ke poshida hai kashakash

hai mauj-e-ḳhanda-e-gul pinhan kali kali men

zaḳhmon men ḳhud chamak hai aur us pe ye sitam hai

rang-e-paridan se main rahta huun chandni men

ham kis shumar men the pursish jo ham se hoti

ye imtiyaz paaya ashob-e-agahi men

hukm-e-qaza ho jaisa sarzad ho fe.al vaisa

banda ka daḳhl bhi hai phir is kahi badi men

raftar-e-saya ko hai past-o-buland yaksan

Thokar kabhi na khaa.e rah-e-farotani men

vajd aa gaya falak ko ghash aa gaya zamin ko

do tarah ke asar the ik saut-e-sarmadi men

ta.abir us ki shayad ek vapsin nafas ho

jo ḳhvab dekhte the ham saari zindagi men

laa.i hubab tak ko sail-e-fana baha kar

ik aah khinchne ko ik dam ki zindagi men

mahshar ki afaton ka dhaḌka nahin raha ab

sau hashr main ne dekhe do din ki zindagi men

pahlu men tu ho ai dil phir hasraten hazaron

kis baat ki kami hai teri salamti men

pursan-e-hal vo ho aur samne bula kar

kya janiye zaban se kya nikle be-ḳhudi men

tu ek zill-e-hasti phir kaisi ḳhud-parasti

saaya ki parvarish hai daman-e-be-ḳhudi men

haa.el bas ik nafas hai mahshar men aur ham men

parda habab ka hai farda men aur di men

ankhen dikha rahi hai din se mujhe shab-e-gham

asar tirgi ke hain din ki raushni men

tu ne to apne dar se mujh ko uTha diya hai

parchha.in phir rahi hai meri usi gali men

sajda ka hukm mujh ko tu ne to ab diya hai

pahle hi likh chuka huun main ḳhatt-e-bandgi men

ai ‘nazm’ chheḌ kar ham tujh ko hue pasheman

kya jante the zalim ro dega dil-lagi men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kya Chiz Hai Uzr-E-Lab-E-Izhaar Ka Saya

Jitne Log Nazar Aate Hain Sab Ke Sab Begane Hain

Kise KHabar Ki Hai Kya Kya Ye Jaan Thame Hue

shabnam-shakeel

kitne anjaan jaziron mein mujhe le ke chala

Baad Uske Mere Ghar Mein Aur Kya Rah Jaega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet