faryadi-e-jafa-e-ayyam ho raha huun
pamal-e-jaur-e-bakht-e-nakam ho raha huun
sargashta-e-khayal-e-anjam ho raha huun
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
bad-nam ho raha huun
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
salma se dil laga kar salma se dil laga kar
us hur-vash ke gham men duniya-o-din ganva kar
hosh-o-havas kho kar sabr-o-sukun luta kar
baithe bithae dil men gham ki khalish basa kar
har chiiz ko bhula kar
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
kahti hain sab ye kis ki tadpa gai hai surat
salma ki shayad is ke man bha gai hai surat
aur us ke gham men itni murjha gai hai surat
murjha gai hai surat kumhla gai hai surat
sanvla gai hai surat
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
panghat pe jab ki saari hoti hain jama aa kar
gagar ko apni rakh kar, ghunghat utha utha kar
ye qissa chhedti hain mujh ko bata bata kar
salma se baten karte dekha hai is ko ja kar
ham ne nazar bacha kar
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
raton ko giit gaane jab mil kar aati hain sab
talab ke kinare dhumen machati hain sab
jangal ki chandni men mangal manati hain sab
to mere aur salma ke giit gaati hain sab
aur hansti jaati hain sab
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
kheton se lautti hain jab din chhupe makan ko
tab raste men baham vo meri dastan ko
dohra ke chhedti hain salma ko meri jaan ko
aur vo haya ki maari si leti hai zaban ko
ki chhede is bayan ko
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
kahti hai rahm kha kar yuun ek mah-e-talat
ye shahri naujavan tha kis darja khub-surat
ankhon men bas rahi hai ab bhi vo pahli rangat
do din men aah kya hai kya ho gai hai halat
allah teri qudarat
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
us shama-ru ka jab se parvana ban gaya huun
basti ki ladkiyon men afsana bin gaya huun
har mah-vash ke lab ka paimana ban gaya huun
divana ho raha huun divana ban gaya huun
divana ban gaya huun
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
un ki zaban pe meri jitni kahaniyan hain
kya janen ye ki dil ki sab mehrbaniyan hain
kam-sin hain be-khabar hain uthti javaniyan hain
kya samjhen gham ke hathon kyuun sar-giraniyan hain
kyuun khun-fishaniyan hain
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
har ik ke rahm ka yuun izhar ho raha hai
bechare ko ye kaisa azar ho raha hai
dekhe to koi jaane bimar ho raha hai
kis darja zindagi se bezar ho raha hai
na-char ho raha hai
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
ik puchhti hai aa kar tum be-qarar kyuun ho
kuchh to hamen batao yuun dil-figar kyuun ho
kya rog hai kaho to tum ashk-bar kyuun ho
divane kyuun hue ho divana vaar kyuun ho
ba-hal-e-zar kyuun ho
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
jaun shikar ko gar ba-hamrahan-e-sahra
kheton se ghurti hain yuun dukhtaran-e-sahra
bijli ki raushni ko jaise miyan-e-sahra
tarik shab men dekhen kuchh ahuvan-e-sahra
hairat kushan-e-sahra
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
ik shokh chhedti hai is tarah paas aa kar
dekho vo ja rahi hai salma nazar bacha kar
sharma ke muskura kar anchal se munh chhupa kar
jaao na pichhe pichhe do baten kar lo ja kar
kheton men chhup chhupa kar
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
goya hamen hasad se kuchh naznin nigahen
salma ki bha gai hain kyuun dil-nashin nigahen
un se zyada dilkash hain ye hasin nigahen
al-qissa ek dil hai sau khashmagin nigahen
shauq afrin nigahen
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun
ik shokh taaza darad sasural se ghar aa kar
sakhiyon se puchhti hai jis dam mujhe bata kar
ye kaun hai to zalim kahti hain muskura kar
tum is ka haal puchho salma ke dil se ja kar
ye giit use suna kar
salma se dil laga kar
basti ki ladkiyon men badnam ho raha huun