• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zom Na Kijo Shama-Ru Bazm Ke Soz O Saz Par

Zom Na Kijo Shama-Ru Bazm Ke Soz O Saz Par

zom na kiijo sham.a-ru bazm ke soz o saaz par

rakhiyo nazar baja-e-naz ḳhatir-e-pir-e-naz par

zeb nahin hai shaiḳh ye mai-kash-e-pak-baz par

tohmaten sau laga.ega dagh-e-jabin niyaz par

kahta huun har hasin se main niyat-e-ishq hai miri

aa.ega mera dil magar shahid-e-dil-navaz par

farq hayat o marg ka murgh-e-chaman ke dil se puchh

deta hai fauq daam ko changul-e-shah-baz par

ḳhvab-e-lahad hai pur-sukun ahd-e-hayat pur-alam

maut na kyuun ho tana-zan zindagi-e-daraz par

sang-e-dar-e-habib par hota huun sajda-rez main

ḳhalq-e-ḳhuda hai mo’tariz mujh pe miri namaz par

mun.im-e-be-basar yunhi dekhiye ta-kuja rahe

mahv-e-nashat o ḳhush-dili naghma-e-tar-e-saz par

faḳhr-e-amal na chahiye sa.i-e-amal zarur hai

aankh rahe lagi hui rahmat-e-karsaz par

dar pe buton ke di sada ‘sa.el’-e-be-nava ne ye

fazl-e-ḳhuda rahe mudam hal-e-gada-navaz par

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

asrarul-haq-majaz

Mujhe Saghar dobara Mil Gaya Hai

Aisi Duniya Ka Etibar Nahin

Ban Gai Hai Maut Kitni KHush-Ada Mere Liye

Tum KHud Hi Mohabbat Ki Har Ek Baat Bhula Do

Ye Aarzu Hai Raat Ka Manzar Dikhai De

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet