dekhiye khaak men majnun ki asar hai ki nahin
dasht men naqa-e-laila ka guzar hai ki nahin
va agar chashm na ho us ko na kahna pi ashk
ye khuda jaane sadaf biich guhar hai ki nahin
ek ne mujh ko tire dar ke upar dekh kaha
ghair is dar ke tujhe aur bhi dar hai ki nahin
akhir is manzil-e-hasti se safar karna hai
ai musafir tujhe chalne ki khabar hai ki nahin
tosha-e-rah sabhi ham-safaran rakhte hain
tere daman men ‘fughan’ lakht-e-jigar hai ki nahin
Leave a Reply