raz-e-fitrat nihan tha nihan hai abhi
asman se pare asman hai abhi
main azal se sunata raha huun magar
na-mukammal miri dastan hai abhi
ham-safar chhoḌ kar chal diye hain to kya
saath mere ye umr-e-ravan hai abhi
umr-bhar su-e-manzil chala huun magar
fasla juun ka tuun darmiyan hai abhi
rahaton ke vo din jaane kab a.enge
zindagi dard ki tarjuman hai abhi
manzil-e-ashiqi ham kahan pa.enge
dil men ehsas-e-sud-o-ziyan hai abhi
Leave a Reply