• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Samajh Aaya Na Aaya Maine Socha Hai Use

Kuchh Samajh Aaya Na Aaya Maine Socha Hai Use

kuchh samajh aaya na aaya main ne socha hai use

zehn par us ko utara dil pe likkha hai use

in dinon is shahr men ik fasl-e-ḳhun ka raqs hai

ham bahut be-bas hue hain, main ne likkha hai use

dhuup ne hans kar kaha dekha tujhe pighla diya

barf kya kahti nafasat ne Duboya hai use

baagh men hona hi shayad seb ki pahchan thi

ab ki vo bazar men hai ab to bikna hai use

kal bhare badal men kya rangon ka darvaza khula

mujh ko kal tak tha ye da.ava main ne samjha hai use

ek shai jis ko umuman sirf dil kahte hain log

mar gaya hota magar main ne bachaya hai use

karb dil ka mere lab par aa.ega ‘manzur’ kya

main ne ḳhun-e-dil se kaghaz par utara hai use

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Safar Ki Dhul Ko Chehre Se Saf Karta Raha

pirzada-qasim

Khizan Mausam Nahin Hai

poet

Zindagi Nam Hai Mohabbat Ka

poet

Kise Sukun Mile Zindagi Ke Pahlu Mein

Is Be Tulua Shab Mein Kya Talea-Azmai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet