kal kahan bichari bulbul aur kahan bechara gul
aaj bulbul diid kar le baagh ki nazzara gul
ḳhali-az-shar ye chaTakne ki sada hargiz nahin
sub.h dam karta hai apne kuuch ka naqqara gul
ghuncha jab tak chup raha har tarah ḳhatir jam.a thi
ḳhanda-e-mufrat ne lekin kar diya avara gul
zahira batin subuk tha kuchh girani aa ga.i
ho gaya bulbul ki janib se jo sang-e-ḳhara gul
kyuun na guzre dam-ba-dam bulbul ka parcha ai ‘vaqar’
rakhta hai bad-e-saba ka baagh men harkara gul
Leave a Reply