• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bujhti Ragon Mein Nur Bikharta Hua Sa Main

Bujhti Ragon Mein Nur Bikharta Hua Sa Main

bujhti ragon men nuur bikharta hua sa main

tufan-e-nang-e-mauj guzarta hua sa main

har shab ujalti hui bhigi ruton ke ḳhvab

aur misl-e-aks-e-ḳhvab bikharta hua sa main

mauj-e-talab men tair gaya tha bas ek naam

phir yuun hua ki ji uTha marta hua sa main

ik dhund si falak se utarti dikha.i de

phir us men aks aks sanvarta hua sa main

dast-e-dua uTha to uTha us ke hi huzur

lekin ye kya usi se mukarta hua sa main

ab ke hava chale to bikhar ja.un duur tak

lekin tiri gali men Thaharta hua sa main

main bujh gaya to kaun ujalega tera ruup

zinda huun is ḳhayal men marta hua sa main

‘ajmal’ vo nim-shab ki dua.en kahan ga.iin

ik shor-e-agahi hai bikharta hua sa main

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bistar-E-Marg Par Zindagi Ki Talab

Shauq Us Ka Humne Wasl Mein Bedar Kar Diya

poet

Yar Se Ab Ke Gar Milun Taban

mazhar-mirza-jaan-e-janaan

Na Tu Milne Ke Ab Qabil Raha Hai

Tanha Safar Hai Aur Hai Yaadon Ki Qabr-Gah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet