main ne kabhi nazar na ki dil-kashi-e-hayat par
meri tamam zindagi un ki jamaliyat par
mujh ko hayat ke siva chahiye ik gham-e-hayat
tab-e-gham-afrin miri rah na saki hayat par
vo bhi ghayur o sharmgin dil bhi nazakat-afrin
choT lagi hai baat se baat baḌhi hai baat par
chand hai aur chandni husn hai aur husn-e-yar
mere hazar din nisar husn ki ek raat par
husn yahan nazar-fareb dard yahan jigar-gudaz
haa.e ki miT gaya ‘nushur’ jalva-e-be-sabat par
Leave a Reply