• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Sab Gham Kahen Jise Ki Tamanna Kahen Jise

Sab Gham Kahen Jise Ki Tamanna Kahen Jise

sab gham kahen jise ki tamanna kahen jise

vo iztirab-e-shauq hai ham kya kahen jise

hai johd-e-munfarid sabab-e-karobar-e-dahr

ik iztirab-e-qatra hai dariya kahen jise

ne.amat ka e’tibar hai husn-e-qubul se

ishrat bhi ek gham hai gavara kahen jise

milta nahin hai ahl-e-junun ka koi suragh

bas ek naqsh-e-pa hai ki sahra kahen jise

pahle hayat-e-shauq thi allah-re inqalab

ab e’tibar-e-gham hai tamanna kahen jise

hai mere ka.enat-e-tasavvur ka ik fareb

vo jalva-e-ḳhayal ki duniya kahen jise

kuchh kam-nigahiyan hain tajalli ki aaḌ se

aisi bhi ik nigah-e-tamasha kahen jise

tanha.i-e-ḳhayal se ‘tabish’ ye haal hai

aisa koi nahin ki ham apna kahen jise

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Naghme Ko Lai Sadaf Ko Guhar Ki Talash Hai

meer-taqi-meer

Be-Rawi O Zulf-E-Yar Hai Rone Se Kaam Yan

ali-sardar-jafri

Kaam Ab Koi Na Aaega Bas Ek dil Ke Siwa

Zarb-E-Haalat Kuchh Nahin Hoti

Dekh Lete Hain Ab Us Baam Ko Aate Jate

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet