chashm-e-ḳhunbar men kyuun laḳht-e-jigar jama.a karen
ghuncha-e-gul ki tarah ka hai ko zar jama.a karen
qatl ke ba.ad hua hukm ki lashen uTh jaa.en
qaid-e-tafriq se maqtulon ke sar jama.a karen
yaar ne ḳhatt-o-kabutar ke kiye hain TukḌe
purze kaghaz ke karen jama.a ki par jama.a karen
fikr men gesu-o-ruḳhsar ke dil ki ḳhatir
shaam hoti hai pareshan jo sahar jama.a karen
ham rahe dahr men jab tak tu rahe pa-ba-rikab
par na ye ho saka asbab-e-safar jama.a karen
donon aalam se na kyuun band vo ankhen rakkhen
tere nazzare ke ḳhatir jo nazar jama.a karen
yak qalam panj sad-o-char hon divan men ghazal
ham kalam apna ‘vaqar’ aaj agar jama.a karen
Leave a Reply