aankh se duur na ho dil se utar jaega
vaqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega
itna manus na ho khalvat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jaega
dubte dubte kashti ko uchhala de duun
main nahin koi to sahil pe utar jaega
zindagi teri ata hai to ye jaane vaala
teri bakhshish tiri dahliz pe dhar jaega
zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka ‘faraz’
zalim ab ke bhi na roega to mar jaega
Leave a Reply