naala jidhar mera guzar kar gaya
tiir sa har dil men asar kar gaya
dil na raha aap men aur main ba-khud
meri taraf jab vo nazar kar gaya
khol ke zulfon ke taiin chehra par
yaar baham sham-o-sahar kar gaya
ahl-e-havas raat gali men tiri
jaane se ai shokh hazar kar gaya
aur jo mujh sa tha koi jan-fishan
dar pe tire ji se guzar kar gaya
dekhiyo sabit-qadami qais ki
ishq men kya umr basar kar gaya
rah-e-khatarnak-e-mohabbat ko tai
ba-qadam dida-e-tar kar gaya
koi tha kuche men sanam ke jo aaj
girya-e-khun ta-ba-kamar kar gaya
aql pe nazan huun ‘jahandar’ ki
dil na diya us ko hunar kar gaya
Leave a Reply